Vidya ko bohot dukh huaManohar chup raha. Uske dil mein Chacha ke liye pyar bhi tha, aur Vidya ke liye gussa bhi. Lekin ab kuch nahi bacha tha—na Chacha, na jaidad, na woh garmi jo un teeno ke beech thi. Ghar mein sannata chha gaya, aur Vidya aur Manohar apne laalach ke saath akela reh gaye.
Asli duvidha paanch din baad shuru hui, Vidya ko chakkar aane lage. Uska pet halka sa ubhra hua lagne laga. Usne test kiya, aur woh pregnant thi. Manohar ko yakeen nahi hua. Usne gusse se poochha, “Yeh baccha kiska hai, Vidya? Mera ya Chacha ka?” Vidya roti hui boli, “Mujhe nahi pata, Manohar… shayad Chacha ka.” Manohar ka gussa hadd paar kar gaya. “Tumne mujhe dhoka diya, Vidya! Chacha ke saath yeh sab kiya, aur ab yeh natija?” Usne Vidya ko ghar se nikal diya.
Manohar ke paas paisa tha, aur woh Vidya se zyada taakatvar tha. Usne apne bete Atharva ki custody aasani se le li. Vidya ke maayke walon ne uski haalat jani aur use ghar mein lene se inkaar kar diya. Uske pehle pati ke sasural walon ne bhi muh mor liya. Vidya akeli reh gayi—ek haath mein apni pet ki goad, aur doosre haath mein apne laalach ka bojh.
Woh sadkon par bhatakti rahi. Uske shareer mein Chacha ka baccha pal raha tha, lekin uski zindagi khatam ho chuki thi. Jo Vidya kabhi Chacha ke pyar mein doobkar unhe zeher deti thi, apne shareer se Manohar aur Chacha dono ko bandhkar rakhti thi, woh ab akeli aur beghar thi. Usne socha tha ki Chacha ki jaidad uske haathon mein aayegi, lekin Chacha ne uske saath khel khela—apni zindagi ke aakhri dinon mein uska sukh loota, aur apni jaidad anathalay ke naam kar di. Vidya ka laalach, uski vasna, aur uski chaal uski barbaadi ban gayi.
Ek thandi raat, Vidya ek khandar ke neeche baithi thi. Uska pet ab bada ho chuka tha, lekin uske paas na khana tha, na paani. Woh roti hui boli, “Chacha… Manohar… maine sab galat kiya, Wo ek nadi ke paas gayi aur tab tak andar jaane lagi jab tak pani uske gale tak na pohonch gayi, uske aansu nadi ke pani se ek ho gayi, wo aur andar gayi aur khud ko pani mein sama liya Kuch hi palon mein, Vidya ki aankhein band ho gayi aur saansein ruk gayi, uske pet mein Chacha ka baccha, aur uske dil mein apne laalach ki saza. Manohar apne bete ke saath ghar mein tha, lekin uske dil mein bhi ek khali pan tha. Chacha chale gaye, Vidya chali gayi, aur un teeno ke beech ka woh garm rishta ab sirf ek dardnaak yaad ban kar reh gaya.