Judai ka dard

Poora parivaar sukhi tha. Magar ek din achanak Sheetal bahut bimaar pad gyi… Doctor ko dikhaya to pata chala ki ushe ek genetic Liver desease thi. Uska liver transplant karna pada. Wo bistar par pad gyi. Uski umra ab 52 saal ki ho chuki thi. Ek jo jeewan urja hoti h sharir mein wo ab ghatne lagi thi. Wo din b din aur kamjor hoti chali gyi. Uski ye haalat dekhkar Sushil ka dil poori tarah se toot chuka tha. Kaam ki wajah se Aditya ko Mumbai mein rahna padta tha, aur wo 3 – 4 mahino mein ek bar hi kuch dino k liye ghar aa pata tha. Wahi Aditi jo ki abhi sirf 17 saal ki thi aur isi saal usne apni 12th board exams clear kiye. Uske baad apne mummy aur papa ko support dene k liye usne Delhi k hi ek college mein apna admission kara liya.

Apne maa – baap ko aise haal mein dekhkar Aditi waqt se pahle hi badi ho gyi thi. Usne ghar ki jimmedari uthani seekh li thi. Wo apni class ki baki ladkiyon jaisi chulbuli nhi rah gyi thi, balki gambhir aur jimmedaar swabhav ki ho gyi thi. Yoon to uska man bhi hota tha ki wo bhi boyfriend banaye aur college life enjoy kare, magar apni kisi bhi aisi – waisi harkat ki wajah se wo apne parents ko aur taqlif mein nhi daalna chahti thi. Aur apni sari aakankchayein apne hi man mein kunthit karke jama rakhi thi.

Udhar Aditya ka haal bhi bura tha. Wo apni maa k behad karib tha. Wo apni har baat usse share karta tha. Wo ish waqt pe apni maa k karib rahna chahta tha. Magar Aditya k kahne par hi wo wahan par ab tak ruka hua tha. Apne talent k balbute par Aditya ne jaldi hi apni ek pehchaan bana li thi apne ush chhote se office mein. Aur ish waqt unki company itni badi nhi thi so, abhi unke employees pe work load bhi jyada tha.

Magar ye ladai aakhir kitni der tak chalti? Akhir kar bimar padne k lagbhag 1 saal baad, Sheetal chal basi. Wo raat ko soyi to magar kabhi uthi hi nhi… Jab Aditya ko ye baat pata chali to wo baukhlaa gya… Paagal sa ho gya… Marne se pahle uski maa k aakhri lamhon mein bhi wo uske saath na rah paya, ish baat ne usko tod madod kar rakh diya tha. Magar usse bhi badi chot usko ish baat ki lagi ki apni maa ko dekhne ka aakhri mauka bhi wo pa na saka. Subahu subah itni jaldi hadbadahat mein flight book karke, fir airport jana, fir waha se plane tak pahuchna, fir Mumbai to Delhi plane journey karke, airport se nikalke wapas by road ghar pahuchne mein bahut waqt lag jata. Magar itni der lash ko nhi rakha jata hai kyunki maut to raat ko hi ho chuki thi, pata din mein chala. Isiliye gharwalon ne hi shav ka antim sanskar kar diya.

Jab Aditya ghar pahucha to teeno gale milkar ek saath foot-foot kar roye. Iske baad Aditya ne khudko ghar mein band kar liya. Uske office walon ne bhi ushe akele waqt bitane k liye 1 mahine ki chhutti de di. Magar wo wahan jyada din ruk na saka. Wo ghar ushe apni maa se na mil pane ka guilt baar – baar yaad dila raha tha. Isiliye wo bas terahwi tak wahan pas ruka fir uske baad Mumbai wapas chala aaya. Wo bahut depressed tha. Aditya ne depression mein aakar daru, cigarette, gaanja sab peena shuru kar diya. Raaton ko thik se sota nhi tha. Office mein performance down hone lagi. Kisi se ab jyada baat bhi nhi karta tha. Bas chup chup sa shaant rahta tha har dum. Office mein sabko uski chinta hone lagi. To fir office walon se Sushil ko call lagaya. Aur sari baat batai. To fir Sushil ne Mumbai aane ka faisla kiya.

Please wait…

Pages ( 2 of 5 ): « Previous1 2 345Next »
Subscribe
Notify of
0 Comments
Most Voted
Newest Oldest
Inline Feedbacks
View all comments
0
Would love your thoughts, please comment.x
()
x